mausam to badalta hai badal jae to kya ho
mausam to badaltā hai badal jaa.e to kyā ho
phūloñ se jo ḳhushbū bhī nikal jaa.e to kyā ho
jaatā huuñ kaḌī dhuup meñ parchhā.īñ ke hamrāh
sahrā meñ ye parchhā.īñ bhī jal jaa.e to kyā ho
ye mashvira-e-zabt bhī taslīm hai lekin
aañsū mirī āñkhoñ se nikal jaa.e to kyā ho
mahtāb sahārā hai shab-e-zīst kā 'fāḳhir'
ye zard sā mahtāb bhī Dhal jaa.e to kyā ho
mausam to badalta hai badal jae to kya ho
phulon se jo KHushbu bhi nikal jae to kya ho
jata hun kaDi dhup mein parchhain ke hamrah
sahra mein ye parchhain bhi jal jae to kya ho
ye mashwira-e-zabt bhi taslim hai lekin
aansu meri aankhon se nikal jae to kya ho
mahtab sahaara hai shab-e-zist ka 'faKHir'
ye zard sa mahtab bhi Dhal jae to kya ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.