mausam to badalte hain lekin kya garm hawa kya sard hawa
mausam to badalte hain lekin kya garm hawa kya sard hawa
Qaisar Shameem
MORE BYQaisar Shameem
mausam to badalte haiñ lekin kyā garm havā kyā sard havā
ai dost hamāre āñgan meñ rahtī hai hamesha zard havā
sab apne shanāsā chhoḌ ga.e raste meñ hameñ ġhairoñ kī tarah
chehre pe hamāre Daal ga.ī lā kar ye kahāñ kī gard havā
chhūTe na kabhī phūloñ kā nagar koshish to yahī hai apnī magar
ik roz uḌā le jā.egī pattoñ kī tarah be-dard havā
kyā baat huī kyuuñ shahr jalā ab is ke sivā kuchh yaad nahīñ
ik fard sarāpā aag huā pal-bhar meñ huā ik fard havā
aa.ī hai ghane jañgal meñ abhī jo khel bhī chāhe khele magar
kal mere saath uḌā.egī phir sahrā sahrā gard havā
āñkhoñ kī chamak mauhūm huī lau dete badan afsurda hue
dar aa.ī hai 'qaisar' ghar meñ mire ye kaisī rutoñ kī sard havā
mausam to badalte hain lekin kya garm hawa kya sard hawa
ai dost hamare aangan mein rahti hai hamesha zard hawa
sab apne shanasa chhoD gae raste mein hamein ghairon ki tarah
chehre pe hamare Dal gai la kar ye kahan ki gard hawa
chhuTe na kabhi phulon ka nagar koshish to yahi hai apni magar
ek roz uDa le jaegi patton ki tarah be-dard hawa
kya baat hui kyun shahr jala ab is ke siwa kuchh yaad nahin
ek fard sarapa aag hua pal-bhar mein hua ek fard hawa
aai hai ghane jangal mein abhi jo khel bhi chahe khele magar
kal mere sath uDaegi phir sahra sahra gard hawa
aankhon ki chamak mauhum hui lau dete badan afsurda hue
dar aai hai 'qaisar' ghar mein mere ye kaisi ruton ki sard hawa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.