mausam udasiyon ke guzar hi nahin rahe
mausam udāsiyoñ ke guzar hī nahīñ rahe
aur ham bhī saḳht-jān haiñ mar hī nahīñ rahe
jis se kisī bhalā.ī kī ummīd rakh sakeñ
ham aisā koī kaam to kar hī nahīñ rahe
chehre pe chhā ga.ī hai kuchh aisī be-raunaqī
koshish ke bāvajūd sañvar hī nahīñ rahe
hairat hai ye ki aañkh se girne ke bāvajūd
kuchh log mere dil se utar hī nahīñ rahe
bārish thamī charāġh bujhā raat Dhal ga.ī
ham ek dūsre se to bhar hī nahīñ rahe
lab par sajī hañsī meñ magan haiñ sabhī 'asar'
logoñ meñ ab vo qalb-o-nazar hī nahīñ rahe
mausam udasiyon ke guzar hi nahin rahe
aur hum bhi saKHt-jaan hain mar hi nahin rahe
jis se kisi bhalai ki ummid rakh saken
hum aisa koi kaam to kar hi nahin rahe
chehre pe chha gai hai kuchh aisi be-raunaqi
koshish ke bawajud sanwar hi nahin rahe
hairat hai ye ki aankh se girne ke bawajud
kuchh log mere dil se utar hi nahin rahe
barish thami charagh bujha raat Dhal gai
hum ek dusre se to bhar hi nahin rahe
lab par saji hansi mein magan hain sabhi 'asar'
logon mein ab wo qalb-o-nazar hi nahin rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.