mausamon ke taghayyur ko bhanpa nahin chhatriyan khol din
mausamoñ ke taġhayyur ko bhāñpā nahīñ chhatriyāñ khol diiñ
zaḳhm bharne se pahle kisī ne mirī paTTiyāñ khol diiñ
ham machheroñ se pūchho samundar nahīñ hai ye ifrīt hai
tum ne kyā soch kar sāhiloñ se bañdhī kashtiyāñ khol diiñ
us ne va.adoñ ke parbat se laTke ho.uuñ ko sahārā diyā
us kī āvāz par koh-paimāon ne rassiyāñ khol diiñ
dasht-e-ġhurbat meñ maiñ aur mirā yār-e-shab-zād bāham mile
yaar ke paas jo kuchh bhī thā yaar ne gaThḌiyāñ khol diiñ
kuchh baras to tirī yaad kī rail dil se guzartī rahī
aur phir maiñ ne thak haar ke ek din paTriyāñ khol diiñ
us ne sahrāoñ kī sair karte hue ik shajar ke tale
apnī āñkhoñ se ainak utārī ki do hirniyāñ khol diiñ
aaj ham kar chuke ahd-e-tark-e-suḳhan par raqam dastaḳhat
aaj ham ne na.e shā.iroñ ke liye bhartiyāñ khol deñ
mausamon ke taghayyur ko bhanpa nahin chhatriyan khol din
zaKHm bharne se pahle kisi ne meri paTTiyan khol din
hum machheron se puchho samundar nahin hai ye ifrit hai
tum ne kya soch kar sahilon se bandhi kashtiyan khol din
us ne wadon ke parbat se laTke houn ko sahaara diya
us ki aawaz par koh-paimaon ne rassiyan khol din
dasht-e-ghurbat mein main aur mera yar-e-shab-zad baham mile
yar ke pas jo kuchh bhi tha yar ne gaThDiyan khol din
kuchh baras to teri yaad ki rail dil se guzarti rahi
aur phir main ne thak haar ke ek din paTriyan khol din
us ne sahraon ki sair karte hue ek shajar ke tale
apni aankhon se ainak utari ki do hirniyan khol din
aaj hum kar chuke ahd-e-tark-e-suKHan par raqam dastaKHat
aaj hum ne nae shairon ke liye bhartiyan khol den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.