mausamon ki saKHtiyan
mausamoñ kī saḳhtiyāñ
al-hafīz-o-al-amāñ
bevafā hai ye jahāñ
aage tum jaano miyāñ
shahr meñ do-chār the
kyā hue āshuftagāñ
ab koī musbat amal
kab talak āh-o-fuġhāñ
ek sahrā-e-basīt
tere mere darmiyāñ
rahm se aarī zamīñ
aur nārāz āsmāñ
kyoñ uThā.eñ zillateñ
kis ko rahnā hai yahāñ
uḌ rahī haiñ chaar sū
zindagī kī dhajjiyāñ
ma.arka hai sher-goī
sahl mat jaano miyāñ
phir vahī kāġhaz qalam
phir vahī kār-e-ziyāñ
mausamon ki saKHtiyan
al-hafiz-o-al-aman
bewafa hai ye jahan
aage tum jaano miyan
shahr mein do-chaar the
kya hue aashuftagan
ab koi musbat amal
kab talak aah-o-fughan
ek sahra-e-basit
tere mere darmiyan
rahm se aari zamin
aur naraaz aasman
kyon uThaen zillaten
kis ko rahna hai yahan
uD rahi hain chaar su
zindagi ki dhajjiyan
marka hai sher-goi
sahl mat jaano miyan
phir wahi kaghaz qalam
phir wahi kar-e-ziyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.