mausamon ki surKH gili dhup mere ghar mein thi
mausamoñ kī surḳh giilī dhuup mere ghar meñ thī
sho.alagī ke raqs meñ Duubī fazā bāhar meñ thī
merī āñkhoñ se Tapaktā thā kisī būḌhe kā dil
dhuup kī ujlī javānī mere hī paikar meñ thī
sabza-o-gul lahlahāte the har ek jānib magar
ro paḌā dariyā udāsī kaun se manzar meñ thī
aap kī dīvār par ug aa.e the kitne babūl
merī poshīda kahānī aap hī ke ghar meñ thī
rafta rafta khiñch rahe the sab usī jānib 'shamīm'
kyā najāt-e-ādmī ab shorish-e-mahshar meñ thī
mausamon ki surKH gili dhup mere ghar mein thi
shoalagi ke raqs mein Dubi faza bahar mein thi
meri aankhon se Tapakta tha kisi buDhe ka dil
dhup ki ujli jawani mere hi paikar mein thi
sabza-o-gul lahlahate the har ek jaanib magar
ro paDa dariya udasi kaun se manzar mein thi
aap ki diwar par ug aae the kitne babul
meri poshida kahani aap hi ke ghar mein thi
rafta rafta khinch rahe the sab usi jaanib 'shamim'
kya najat-e-admi ab shorish-e-mahshar mein thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.