mausamon mein hui hai sazish phir
mausamoñ meñ huī hai sāzish phir
dhuup meñ ho rahī hai bārish phir
ab to baaqī hai samt-e-mamnūā
mere talvoñ meñ jaagī ḳhārish phir
har taraf hai ajiib tārājī
dil meñ aa.ī sipāh-e-dānish phir
rañg-o-roġhan bhī muskurāne lage
ḳhush bahut hai mirī rihā.ish phir
āḌī-tirchhī lakīreñ raushan hoñ
kuchh to ho sūrat-e-nigārish phir
dekhiye kis taraf ko jaatā hai
hai qalandar kī āzmā.ish phir
zahr-ālūd ḳhushbueñ haiñ 'munīr'
kī havā ne guloñ se sāzish phir
mausamon mein hui hai sazish phir
dhup mein ho rahi hai barish phir
ab to baqi hai samt-e-mamnua
mere talwon mein jagi KHarish phir
har taraf hai ajib taraji
dil mein aai sipah-e-danish phir
rang-o-roghan bhi muskurane lage
KHush bahut hai meri rihaish phir
aaDi-tirchhi lakiren raushan hon
kuchh to ho surat-e-nigarish phir
dekhiye kis taraf ko jata hai
hai qalandar ki aazmaish phir
zahr-alud KHushbuen hain 'munir'
ki hawa ne gulon se sazish phir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.