maut aae to is tarah aae
maut aa.e to is tarah aa.e
zindagī ko ḳhabar na ho paa.e
ham na badleñge rāsta apnā
jaan jaatī hai gar chalī jaa.e
maut bar-haq hai aa.egī lekin
chārāgar kaun tujh ko samjhā.e
sar salāmat jahāñ nahīñ rahte
sar uThā kar vahāñ se ham aa.e
dar pe chhoḌ aa.e un ke ruuh apnī
sirf ham jism ko uThā laa.e
jab rahā hī nahīñ koī apnā
kaun ġhamgīn dil ko bahlā.e
apne hī dil pe ab nahīñ qaabū
ḳhush kabhī ho kabhī ye uktā.e
apnī likkhī huī ġhazal paḌhnā
dil jo 'hānī' tumhārā ghabrā.e
maut aae to is tarah aae
zindagi ko KHabar na ho pae
hum na badlenge rasta apna
jaan jati hai gar chali jae
maut bar-haq hai aaegi lekin
chaaragar kaun tujh ko samjhae
sar salamat jahan nahin rahte
sar uTha kar wahan se hum aae
dar pe chhoD aae un ke ruh apni
sirf hum jism ko uTha lae
jab raha hi nahin koi apna
kaun ghamgin dil ko bahlae
apne hi dil pe ab nahin qabu
KHush kabhi ho kabhi ye uktae
apni likkhi hui ghazal paDhna
dil jo 'hani' tumhaara ghabrae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.