maut aai mujhe kuche mein tere jaane se
maut aa.ī mujhe kūche meñ tire jaane se
niiñd aa hī ga.ī jannat kī havā khāne se
huuñ vo āshiq ki tah-e-qabr maiñ jal jaatā huuñ
sham.a turbat par agar miltī hai parvāne se
qasd uThne kā qayāmat ne kiyā to ye kahā
lo ye sar chaḌhne lagī paañv ke Thukrāne se
vasl kī shab na kar itnā bhī hijāb ai zālim
shoḳhiyāñ tañg haiñ terī tire sharmāne se
koī hañs hañs ke sune aur maiñ ro ro ke kahūñ
lutf donoñ ko mile dard ke afsāne se
ġhuncha chaTkā koī gulshan meñ to lailā samjhī
mere majnūñ ne pukārā mujhe vīrāne se
rahe rañj o alam o vahshat o barbādī o yaas
ai junūñ koī na jaa.e mire vīrāne se
kis ko fursat thī par is tarah meñ kuchh sher 'vasīm'
kah liye hazrat-e-'naushād' ke farmāne se
maut aai mujhe kuche mein tere jaane se
nind aa hi gai jannat ki hawa khane se
hun wo aashiq ki tah-e-qabr main jal jata hun
shama turbat par agar milti hai parwane se
qasd uThne ka qayamat ne kiya to ye kaha
lo ye sar chaDhne lagi panw ke Thukrane se
wasl ki shab na kar itna bhi hijab ai zalim
shoKHiyan tang hain teri tere sharmane se
koi hans hans ke sune aur main ro ro ke kahun
lutf donon ko mile dard ke afsane se
ghuncha chaTka koi gulshan mein to laila samjhi
mere majnun ne pukara mujhe virane se
rahe ranj o alam o wahshat o barbaadi o yas
ai junun koi na jae mere virane se
kis ko fursat thi par is tarah mein kuchh sher 'wasim'
kah liye hazrat-e-'naushad' ke farmane se
- Book : Aqa-e-sukhan waseem Khairabadi hayat aur karname (Pg. 206)
- Author : Waseem Khairabadi
- Publication : Farid Bilgrami, Bilgrami Building Miyan Sarai (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.