maut aakar khaḌī hai sir.hāne
aaj bhī aa gayā vo taḌpāne
kuchh na kuchh raaz sab chhupā.e haiñ
sab ke dil meñ mileñge tah-ḳhāne
ḳhaak ho jā.eñge sabhī ik din
baaqī rah jā.eñge bas afsāne
kyā Darāoge aag se ham ko
sham' tum ho to ham haiñ parvāne
jis kā koī nahīñ zamāne meñ
us ke dard-āshnā haiñ vīrāne
maut aakar khaDi hai sirhane
aaj bhi aa gaya wo taDpane
kuchh na kuchh raaz sab chhupae hain
sab ke dil mein milenge tah-KHane
KHak ho jaenge sabhi ek din
baqi rah jaenge bas afsane
kya Daraoge aag se hum ko
sham' tum ho to hum hain parwane
jis ka koi nahin zamane mein
us ke dard-ashna hain virane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.