Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maut aati hai na kambaKHt qarar aata hai

Yas Tonki

maut aati hai na kambaKHt qarar aata hai

Yas Tonki

MORE BYYas Tonki

    maut aatī hai na kambaḳht qarār aatā hai

    tujh pe ab rahm bahut ai dil-e-zār aatā hai

    kuchh na.e hote haiñ āġhāz-e-mohabbat ke maze

    kuchh ajab shaan se dil meñ ġham-e-yār aatā hai

    lutf se chheḌte ho bazm-e-adū meñ mujh ko

    inhīñ bātoñ se to bas dil meñ ġhubār aatā hai

    tāzgī lutf-e-mohabbat meñ huī phir kuchh kuchh

    aaj phir lab pe mire shikva-e-yār aatā hai

    pahle thī dil meñ harārat bhī bahut kuchh ab to

    naam se ishq-o-mohabbat ke buḳhār aatā hai

    karvaTeñ lene se kuchh haal badaltā hai kahīñ

    lauTne se koī furqat meñ qarār aatā hai

    ġhair to ġhair hai tum bhī nahīñ vāqif un se

    jin adāoñ pe tumhārī mujhe pyaar aatā hai

    maut aati hai na kambaKHt qarar aata hai

    tujh pe ab rahm bahut ai dil-e-zar aata hai

    kuchh nae hote hain aaghaz-e-mohabbat ke maze

    kuchh ajab shan se dil mein gham-e-yar aata hai

    lutf se chheDte ho bazm-e-adu mein mujh ko

    inhin baaton se to bas dil mein ghubar aata hai

    tazgi lutf-e-mohabbat mein hui phir kuchh kuchh

    aaj phir lab pe mere shikwa-e-yar aata hai

    pahle thi dil mein hararat bhi bahut kuchh ab to

    nam se ishq-o-mohabbat ke buKHar aata hai

    karwaTen lene se kuchh haal badalta hai kahin

    lauTne se koi furqat mein qarar aata hai

    ghair to ghair hai tum bhi nahin waqif un se

    jin adaon pe tumhaari mujhe pyar aata hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now