maut bhi hai yahi hayat bhi hai
Interesting Fact
(22nd February, 1956) (Tamir-e-Urdu)
maut bhī hai yahī hayāt bhī hai
zindagī din ke saath raat bhī hai
kyuuñ na phir dil kā ehtirām kareñ
hai ye ka.aba to somnāt bhī hai
maiñ gunahgār hī sahī lekin
is meñ shāyad kisī kā haat bhī hai
un kī ik ik adā pe marte haiñ
be-ruḳhī bhī hai iltifāt bhī hai
hijr kī raat terā kyā kahnā
haañ nazar meñ suhāg-rāt bhī hai
na baḌhāo to baat kuchh bhī nahīñ
baat hī kyā hai koī baat bhī hai
be-sabātī to ḳhud hai zid apnī
be-sabātī meñ ik sabāt bhī hai
jaan detā to hai hayāt pe tū
kuchh tirā maqsad-e-hayāt bhī hai
dām-e-ġham meñ nafas nafas hai asiir
kisī sūrat kahīñ najāt bhī hai
dil shikasta na ho zamāne se
zindagī jiit bhī hai maat bhī hai
zindagī nang-e-kā.enāt sahī
zindagī faḳhr-e-kā.enāt bhī hai
jān-levā bhī ik taraf hai vo shoḳh
ik taraf hāsil-e-hayāt bhī hai
baat yuuñ to zarā sī hai 'tālib'
baat apnī jagah pe baat bhī hai
maut bhi hai yahi hayat bhi hai
zindagi din ke sath raat bhi hai
kyun na phir dil ka ehtiram karen
hai ye kaba to somnat bhi hai
main gunahgar hi sahi lekin
is mein shayad kisi ka hat bhi hai
un ki ek ek ada pe marte hain
be-ruKHi bhi hai iltifat bhi hai
hijr ki raat tera kya kahna
han nazar mein suhag-raat bhi hai
na baDhao to baat kuchh bhi nahin
baat hi kya hai koi baat bhi hai
be-sabaati to KHud hai zid apni
be-sabaati mein ek sabaat bhi hai
jaan deta to hai hayat pe tu
kuchh tera maqsad-e-hayat bhi hai
dam-e-gham mein nafas nafas hai asir
kisi surat kahin najat bhi hai
dil shikasta na ho zamane se
zindagi jit bhi hai mat bhi hai
zindagi nang-e-kaenat sahi
zindagi faKHr-e-kaenat bhi hai
jaan-lewa bhi ek taraf hai wo shoKH
ek taraf hasil-e-hayat bhi hai
baat yun to zara si hai 'talib'
baat apni jagah pe baat bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.