maut bhi kuchh zindagi se kam nahin
maut bhī kuchh zindagī se kam nahīñ
ye añdherā raushnī se kam nahīñ
terī āñkhoñ meñ tapish hai june kī
terā chehra january se kam nahīñ
merā lahja hai agar parvīn sā
terī ġhazleñ qāsmī se kam nahīñ
uñgliyāñ ham par uThā kuchh soch kar
yaad rakh ham bhī kisī se kam nahīñ
tū mirī ḳhātir guzartā vaqt hai
aur maiñ terī ghaḌī se kam nahīñ
maut bhi kuchh zindagi se kam nahin
ye andhera raushni se kam nahin
teri aankhon mein tapish hai june ki
tera chehra january se kam nahin
mera lahja hai agar parwin sa
teri ghazlen qasmi se kam nahin
ungliyan hum par uTha kuchh soch kar
yaad rakh hum bhi kisi se kam nahin
tu meri KHatir guzarta waqt hai
aur main teri ghaDi se kam nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.