maut bhi samne aa jae to uD sakta hun
maut bhī sāmne aa jaa.e to uḌ saktā huuñ
itnā achchhā huuñ ki ab sirf bigaḌ saktā huuñ
maiñ vo bastī huuñ jo bastī hai ujaḌne ke liye
mujh ko aadat hai ujaḌne kī ujaḌ saktā huuñ
tum se pahle bhī ka.ī chhoḌ chuke hai mujh ko
tum se pahle bhī maiñ bichhḌā huuñ bichhaḌ saktā huuñ
kaun kartā hai yahāñ jang natīje ke liye
jiit kar hārne vaale se jhagaḌ saktā huuñ
dauḌ meñ jitne bhī laḌke haiñ vo juute meñ haiñ
maiñ binā paañv huuñ mumkin hai pichhaḌ saktā huuñ
maiñ tumheñ chāñd sitāre to nahī de saktā
tang lamhoñ meñ magar haath pakaḌ saktā huuñ
maut bhi samne aa jae to uD sakta hun
itna achchha hun ki ab sirf bigaD sakta hun
main wo basti hun jo basti hai ujaDne ke liye
mujh ko aadat hai ujaDne ki ujaD sakta hun
tum se pahle bhi kai chhoD chuke hai mujh ko
tum se pahle bhi main bichhDa hun bichhaD sakta hun
kaun karta hai yahan jang natije ke liye
jit kar haarne wale se jhagaD sakta hun
dauD mein jitne bhi laDke hain wo jute mein hain
main bina panw hun mumkin hai pichhaD sakta hun
main tumhein chand sitare to nahi de sakta
tang lamhon mein magar hath pakaD sakta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.