Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maut diwane ko aai hai bayaban ke pas

Sayyad Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi

maut diwane ko aai hai bayaban ke pas

Sayyad Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi

maut dīvāne ko aa.ī hai bayābāñ ke paas

haath rakkhe hue hai apnā garebāñ ke paas

ishq rakhtā hai hasīnoñ se mujhe fikr ye hai

naam ko aql nahīñ hai dil-e-nādāñ ke paas

apne jitne haiñ vo begāna hue usrat meñ

koī milne nahīñ aatā hai pareshāñ ke paas

lāġharī se mire marne use ḳhauf huā

ruk gayā dast-e-junūñ mere garebāñ ke paas

manzil-e-ishq meñ dīvāna tirā baiThā hai

paañv phailā.e hue ḳhār-e-muġhīlāñ ke paas

merī bhī shauq-e-asīrī nahīñ had koī

qaid se chhūT ke baiThā dar-e-zindāñ ke paas

dil ne zulfoñ se kahā itnā munāsib hai ḳhayāl

aatā hai koī pareshāñ bhī pareshāñ ke paas

un ḳhalvat meñ gayā maiñ to ināyat ye huī

vo bhī sharmā.e hue baiThe haiñ mehmāñ ke paas

apne zaanū pe shab-e-vasl rakhā sar merā

dil bhī ḳhush hai ki maiñ huuñ gesū-e-jānāñ ke paas

qadr-andāz idhar dekh kashish itnī hai

ḳhud dil āye.gā khīñch kar tire paikāñ ke paas

dil hasīnoñ ne liyā jaan bhī le merī

ab to kuchh bhī na rahā be-sar-o-sāmāñ ke paas

panj-tan mil ga.e jannat meñ chalo tum bhī 'shafīq'

bātoñ bātoñ meñ pahuñch jāoge rizvāñ ke paas

maut diwane ko aai hai bayaban ke pas

hath rakkhe hue hai apna gareban ke pas

ishq rakhta hai hasinon se mujhe fikr ye hai

nam ko aql nahin hai dil-e-nadan ke pas

apne jitne hain wo begana hue usrat mein

koi milne nahin aata hai pareshan ke pas

laghari se mere marne ka use KHauf hua

ruk gaya dast-e-junun mere gareban ke pas

manzil-e-ishq mein diwana tera baiTha hai

panw phailae hue KHar-e-mughilan ke pas

meri bhi shauq-e-asiri ki nahin had koi

qaid se chhuT ke baiTha dar-e-zindan ke pas

dil ne zulfon se kaha itna munasib hai KHayal

aata hai koi pareshan bhi pareshan ke pas

un ki KHalwat mein gaya main to inayat ye hui

wo bhi sharmae hue baiThe hain mehman ke pas

apne zanu pe shab-e-wasl rakha sar mera

dil bhi KHush hai ki main hun gesu-e-jaanan ke pas

qadr-andaz idhar dekh kashish itni hai

KHud hi dil aayega khinch kar tere paikan ke pas

dil hasinon ne liya jaan bhi le li meri

ab to kuchh bhi na raha be-sar-o-saman ke pas

panj-tan mil gae jannat mein chalo tum bhi 'shafiq'

baaton baaton mein pahunch jaoge rizwan ke pas

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now