maut hai zindagi zindagi maut hai
maut hai zindagī zindagī maut hai
har-nafas maut hai har ghaḌī maut hai
maiñ añdheroñ meñ kho jā.ūñ mumkin nahīñ
ek parvāne kī raushnī maut hai
is liye shaad rahtā huuñ har haal meñ
mere dushman ko merī ḳhushī maut hai
koī talvār ḳhanjar na tīr-o-tabar
hurmula ke liye ik hañsī maut hai
ḳhāmushī āqiloñ kī hai ḳhūbī magar
ba.az auqāt par ḳhāmushī maut hai
sābiroñ ke liye har taraf hai hayāt
zālimoñ ke liye maut hī maut hai
ek kaḌvī haqīqat kaheñ aur kaheñ
shahd se bhī sivā chāshnī maut hai
qaid-e-ġhurbat se 'ārif' nikal jā.iye
hai ḳhabar aap ko muflisī maut hai
maut hai zindagi zindagi maut hai
har-nafas maut hai har ghaDi maut hai
main andheron mein kho jaun mumkin nahin
ek parwane ki raushni maut hai
is liye shad rahta hun har haal mein
mere dushman ko meri KHushi maut hai
koi talwar KHanjar na tir-o-tabar
hurmula ke liye ek hansi maut hai
KHamushi aaqilon ki hai KHubi magar
baz auqat par KHamushi maut hai
sabiron ke liye har taraf hai hayat
zalimon ke liye maut hi maut hai
ek kaDwi haqiqat kahen aur kahen
shahd se bhi siwa chashni maut hai
qaid-e-ghurbat se 'arif' nikal jaiye
hai KHabar aap ko muflisi maut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.