maut hi chaara-saz-e-furqat hai
maut hī chāra-sāz-e-furqat hai
rañj marne kā mujh ko rāhat hai
ho chukā vasl vaqt-e-ruḳhsat hai
ai ajal jald aa ki fursat hai
roz kī daad kaun devegā
zulm karnā tumhārī 'ādat hai
kārvāñ 'umr kā hai raḳht-ba-dosh
har nafs bāñg-e-kos-e-rehlat hai
saañs ik phāñs sī khaTaktī hai
dam nikaltā nahīñ musībat hai
tum bhī apne 'hayā' ko dekh aao
aaj us kī kuchh aur hālat hai
maut hi chaara-saz-e-furqat hai
ranj marne ka mujh ko rahat hai
ho chuka wasl waqt-e-ruKHsat hai
ai ajal jald aa ki fursat hai
roz ki dad kaun dewega
zulm karna tumhaari 'adat hai
karwan 'umr ka hai raKHt-ba-dosh
har nafs bang-e-kos-e-rehlat hai
sans ek phans si khaTakti hai
dam nikalta nahin musibat hai
tum bhi apne 'haya' ko dekh aao
aaj us ki kuchh aur haalat hai
- Book : Noquush (Pg. B-398 E408)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.