maut ek darinda hai zindagi bala si hai
maut ik darinda hai zindagī balā sī hai
sub.h bhī udāsī hai shaam bhī udāsī hai
apnī intihā par ham shāyad ibtidā meñ haiñ
tab bhī bebasī thī ab bhī be-libāsī hai
bādaloñ ko aanā hai lauT kar isī jānib
ye zamīñ hī pyāsī thī ye zamīñ hī pyāsī hai
ye bhī ek ne.amat hai kaash tum samajh paao
zindagī ke andar jo apne ik ḳhalā sī hai
jāntā to sab kuchh hai vo bhī mere baare meñ
kyā kareñ jo zālim meñ ḳhū-e-nā-shanāsī hai
farq hai to ham meñ hai vaqt ek jaisā hai
san chhiyānve hai ye yā ki san chhiyāsī hai
maut ek darinda hai zindagi bala si hai
subh bhi udasi hai sham bhi udasi hai
apni intiha par hum shayad ibtida mein hain
tab bhi bebasi thi ab bhi be-libasi hai
baadalon ko aana hai lauT kar isi jaanib
ye zamin hi pyasi thi ye zamin hi pyasi hai
ye bhi ek neamat hai kash tum samajh pao
zindagi ke andar jo apne ek KHala si hai
jaanta to sab kuchh hai wo bhi mere bare mein
kya karen jo zalim mein KHu-e-na-shanasi hai
farq hai to hum mein hai waqt ek jaisa hai
san chhiyanwe hai ye ya ki san chhiyasi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.