maut ek git raat gati thi
maut ik giit raat gaatī thī
zindagī jhuum jhuum jaatī thī
kabhī dīvāne ro bhī paḌte the
kabhī terī bhī shab aatī thī
zikr thā rañg-o-bū kā aur dil meñ
terī tasvīr utartī jaatī thī
the na aflāk gosh-bar-āvāz
be-ḳhudī dāstāñ sunātī thī
jalva-gar ho rahā thā koī udhar
dhuup idhar phīkī paḌtī jaatī thī
hama-tan-gosh zindagī thī 'firāq'
maut dhīme suroñ meñ gaatī thī
maut ek git raat gati thi
zindagi jhum jhum jati thi
kabhi diwane ro bhi paDte the
kabhi teri bhi shab aati thi
zikr tha rang-o-bu ka aur dil mein
teri taswir utarti jati thi
the na aflak gosh-bar-awaz
be-KHudi dastan sunati thi
jalwa-gar ho raha tha koi udhar
dhup idhar phiki paDti jati thi
hama-tan-gosh zindagi thi 'firaq'
maut dhime suron mein gati thi
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 210)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.