maut ka Dar naKHuda kuchh bhi nahin
maut kā Dar nāḳhudā kuchh bhī nahīñ
zindagī kā mas.ala kuchh bhī nahīñ
aag paanī aur havā kuchh bhī nahīñ
sirf miTTī thī banā kuchh bhī nahīñ
kuchh lahū kā rañg aur kuchh āb-o-gil
mujh meñ to ḳhud-sāḳhta kuchh bhī nahīñ
zindagī kī is hasīñ pāzeb meñ
sirf ghuñgrū ke sivā kuchh bhī nahīñ
diid kī ḳhvāhish kī muusā ne vahāñ
lekin un par bhī khulā kuchh bhī nahīñ
ho na jab tak hijr kī mushkil radīf
vasl kā to qāfiya kuchh bhī nahīñ
be-yaqīnī hai yaqīnī kaifiyat
haath uThe haiñ par duā kuchh bhī nahīñ
haañ agar maqsūd ho dīdār-e-yār
tab ḳhalā aur fāsla kuchh bhī nahīñ
ab zamīñ par maiñ agar maujūd huuñ
is meñ to merī ḳhatā kuchh bhī nahīñ
jis tarah 'ruḳhsār' guzrī zindagī
maut kā ye marhala kuchh bhī nahīñ
maut ka Dar naKHuda kuchh bhi nahin
zindagi ka masala kuchh bhi nahin
aag pani aur hawa kuchh bhi nahin
sirf miTTi thi bana kuchh bhi nahin
kuchh lahu ka rang aur kuchh aab-o-gil
mujh mein to KHud-saKHta kuchh bhi nahin
zindagi ki is hasin pazeb mein
sirf ghungru ke siwa kuchh bhi nahin
did ki KHwahish ki musa ne wahan
lekin un par bhi khula kuchh bhi nahin
ho na jab tak hijr ki mushkil radif
wasl ka to qafiya kuchh bhi nahin
be-yaqini hai yaqini kaifiyat
hath uThe hain par dua kuchh bhi nahin
han agar maqsud ho didar-e-yar
tab KHala aur fasla kuchh bhi nahin
ab zamin par main agar maujud hun
is mein to meri KHata kuchh bhi nahin
jis tarah 'ruKHsar' guzri zindagi
maut ka ye marhala kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.