maut ka kyun kar eatibar aae
maut kā kyuuñ kar e.atibār aa.e
ki shab-e-ġham bhī ham guzār aa.e
kisī hiile kisī bahāne ham
kū-e-jānāñ meñ baar baar aa.e
ek ḳhū-e-vafā ke rishte se
yaad kitne sitam-shi.ār aa.e
kis ko hotī nahīñ hai jaan aziiz
ham magar phir bhī sū-e-dār aa.e
un se tark-e-vafā kareñ kyuuñ kar
jin pe be-iḳhtiyār pyaar aa.e
maut ka kyun kar eatibar aae
ki shab-e-gham bhi hum guzar aae
kisi hile kisi bahane hum
ku-e-jaanan mein bar bar aae
ek KHu-e-wafa ke rishte se
yaad kitne sitam-shiar aae
kis ko hoti nahin hai jaan aziz
hum magar phir bhi su-e-dar aae
un se tark-e-wafa karen kyun kar
jin pe be-iKHtiyar pyar aae
- Book : Qamat (Pg. 49)
- Author : Shahid Hussain
- Publication : Arshia Publications (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.