maut ke din se bura din
maut ke din se burā din
haa.e ye din aaj kā din
aap ḳhush ho ḳhush raho aur
ḳhushnumā ho aap kā din
hādse kī zad meñ aa kar
chalte chalte ruk gayā din
merī har ik raat shāpit
mujh pe har ik hādisa din
maiñ bhī khotā jā rahā huuñ
dekh kar ab Dūbtā din
aaj mujh se ho gayā hai
kuchh ziyāda ġham-zada din
raat ne to zulm Dhaa.e
kuchh to lekin sochtā din
maut ke din se bura din
hae ye din aaj ka din
aap KHush ho KHush raho aur
KHushnuma ho aap ka din
hadse ki zad mein aa kar
chalte chalte ruk gaya din
meri har ek raat shapit
mujh pe har ek hadisa din
main bhi khota ja raha hun
dekh kar ab Dubta din
aaj mujh se ho gaya hai
kuchh ziyaada gham-zada din
raat ne to zulm Dhae
kuchh to lekin sochta din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.