maut ki samt ek qadam har din
maut kī samt ik qadam har din
zindagī ho rahī hai kam har din
terā dīvāna paḌh ke naam tirā
kartā rahtā hai dil pe dam har din
merī hastī ko ḳhatm kar degā
mujh ko khātā hai koī ġham har din
aglī nasloñ ke kaam aa.egā
vaqt kartā huuñ jo raqam har din
ye bure vaqt kī 'alāmat hai
dost hone lage haiñ kam har din
maut ki samt ek qadam har din
zindagi ho rahi hai kam har din
tera diwana paDh ke nam tera
karta rahta hai dil pe dam har din
meri hasti ko KHatm kar dega
mujh ko khata hai koi gham har din
agli naslon ke kaam aaega
waqt karta hun jo raqam har din
ye bure waqt ki 'alamat hai
dost hone lage hain kam har din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.