maut ko thamenge sadme mein nahin aaenge
maut ko thāmeñge sadme meñ nahīñ ā.eñge
zindagī ham tere hisse meñ nahīñ ā.eñge
ham ko taftīsh kā haq hai vo kareñge puurī
ab ke ham aap ke jhāñse meñ nahīñ ā.eñge
ham bikharte hue motī haiñ hameñ mat chuniye
ham kabhī vaqt ke dhāge meñ nahīñ ā.eñge
ham ko kyā aap ko da.avā hai ḳhudā.ī kā agar
ham kabhī aap ke kahne meñ nahīñ ā.eñge
ham baḌe shahr ke baasī bhī haiñ maġhrūr bhī haiñ
ham kabhī aap ke qasbe meñ nahīñ ā.eñge
ashk ban ke tirī palkoñ pe sajeñge lekin
aks ban ke tire chashme meñ nahīñ ā.eñge
ham guzāre hue lamhoñ meñ Thahar jā.eñge
ham guzarte hue lamhe meñ nahīñ ā.eñge
raat ko lūTte phirte haiñ jo logoñ kā sukūñ
vo kabhī din ke ujāle meñ nahīñ ā.eñge
ham sā tum koī banā paao ye mumkin hī nahīñ
ham kisī baḳht ke sāñche meñ nahīñ ā.eñge
ham ki vo ḳhasta makān haiñ jo girā chāhte haiñ
ham tire shahr ke naqshe meñ nahīñ ā.eñge
ye jo aflāk ke aañsū haiñ dikhāve ke haiñ bas
ham to bārish ke barasne meñ nahīñ ā.eñge
zindagī tū ne vafā kī na nibhā.ī jin se
vo kabhī tere bharose meñ nahīñ ā.eñge
maut ko thamenge sadme mein nahin aaenge
zindagi hum tere hisse mein nahin aaenge
hum ko taftish ka haq hai wo karenge puri
ab ke hum aap ke jhanse mein nahin aaenge
hum bikharte hue moti hain hamein mat chuniye
hum kabhi waqt ke dhage mein nahin aaenge
hum ko kya aap ko dawa hai KHudai ka agar
hum kabhi aap ke kahne mein nahin aaenge
hum baDe shahr ke basi bhi hain maghrur bhi hain
hum kabhi aap ke qasbe mein nahin aaenge
ashk ban ke teri palkon pe sajenge lekin
aks ban ke tere chashme mein nahin aaenge
hum guzare hue lamhon mein Thahar jaenge
hum guzarte hue lamhe mein nahin aaenge
raat ko luTte phirte hain jo logon ka sukun
wo kabhi din ke ujale mein nahin aaenge
hum sa tum koi bana pao ye mumkin hi nahin
hum kisi baKHt ke sanche mein nahin aaenge
hum ki wo KHasta makan hain jo gira chahte hain
hum tere shahr ke naqshe mein nahin aaenge
ye jo aflak ke aansu hain dikhawe ke hain bas
hum to barish ke barasne mein nahin aaenge
zindagi tu ne wafa ki na nibhai jin se
wo kabhi tere bharose mein nahin aaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.