maut ko zist tarasti hai yahan
maut ko ziist tarastī hai yahāñ
maut hī kaun sī sastī hai yahāñ
dam kī mushkil nahīñ āsāñ karte
kis qadar uqda-parastī hai yahāñ
sab ḳharābe haiñ tamannāoñ ke
kaun bastī hai jo bastī hai yahāñ
chhoḌo be-sarfa haiñ sāvan bhādoñ
dekho har aañkh barastī hai yahāñ
ab to har auj kā taarā Duubā
auj kā naam hī pastī hai yahāñ
maut ko zist tarasti hai yahan
maut hi kaun si sasti hai yahan
dam ki mushkil nahin aasan karte
kis qadar uqda-parasti hai yahan
sab KHarabe hain tamannaon ke
kaun basti hai jo basti hai yahan
chhoDo be-sarfa hain sawan bhadon
dekho har aankh barasti hai yahan
ab to har auj ka tara Duba
auj ka nam hi pasti hai yahan
- Book : Nuquush Lahore (Pg. 343)
- Author : Mohd Tufail
- Publication : Idara Farog-e-urdu, Lahore (Feb.1956)
- Edition : Feb.1956
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.