maut ko zindagi samajhte hain
maut ko zindagī samajhte haiñ
dar-haqīqat sahī samajhte haiñ
mere ġham ko kabhī nahīñ samjhe
vo jo merī hañsī samajhte haiñ
ham se dariyā kī nibh nahīñ saktī
ham alag tishnagī samajhte haiñ
ḳhvāb is meñ hī mere palte haiñ
log kyoñ jhopḌī samajhte haiñ
'ishq pahle-pahal samajhte the
ab faqat dil-lagī samajhte haiñ
ye suḳhan kā husūl hai mujh ko
vo mirī shā'irī samajhte haiñ
apne hāthoñ ko khīñch lete haiñ
bachche ab muflisī samajhte haiñ
maut ko zindagi samajhte hain
dar-haqiqat sahi samajhte hain
mere gham ko kabhi nahin samjhe
wo jo meri hansi samajhte hain
hum se dariya ki nibh nahin sakti
hum alag tishnagi samajhte hain
KHwab is mein hi mere palte hain
log kyon jhopDi samajhte hain
'ishq pahle-pahal samajhte the
ab faqat dil-lagi samajhte hain
ye suKHan ka husul hai mujh ko
wo meri sha'iri samajhte hain
apne hathon ko khinch lete hain
bachche ab muflisi samajhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.