maut kya dard ka bahana hai
maut kyā dard kā bahānā hai
zindagī ġham kā ānā-jānā hai
āḳhirī saañs roke rakhtā huuñ
terā va.ada abhī nibhānā hai
dil meñ din-rāt dard uThtā hai
ġham kā ik mustaqil Thikānā hai
tere bāzār meñ bikūñ shāyad
dil kā har qarz jo chukānā hai
tujh se kar ke vafā kī ummīdeñ
hasb-e-ma.amūl dil dukhānā hai
ab zamāne kī dī huī duurī
ek kamzor sā bahānā hai
phir merī aab aab āñkhoñ ko
apnī hālat pe muskurānā hai
phir se ye aabrū baḌhe na kahīñ
phir tere aage sar jhukānā hai
muskurā kar terā badal jaanā
bhuul jaanā hai yaad aanā hai
chhīnā bāliġh se maut kā dāman
zindagī aur kyā dikhānā hai
maut kya dard ka bahana hai
zindagi gham ka aana-jaana hai
aaKHiri sans roke rakhta hun
tera wada abhi nibhana hai
dil mein din-raat dard uThta hai
gham ka ek mustaqil Thikana hai
tere bazar mein bikun shayad
dil ka har qarz jo chukana hai
tujh se kar ke wafa ki ummiden
hasb-e-mamul dil dukhana hai
ab zamane ki di hui duri
ek kamzor sa bahana hai
phir meri aab aab aankhon ko
apni haalat pe muskurana hai
phir se ye aabru baDhe na kahin
phir tere aage sar jhukana hai
muskura kar tera badal jaana
bhul jaana hai yaad aana hai
chhina baaligh se maut ka daman
zindagi aur kya dikhana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.