maut kya KHatm-e-hayat-e-gham-e-duniya karna
maut kyā ḳhatm-e-hayāt-e-ġham-e-duniyā karnā
hāsil-e-zīst hai marne kī tamannā karnā
qissa-e-tūr kā hai mujh ko i.aada karnā
ek baar aur karam barq-e-tajallā karnā
jab ki aatā hai nazar terā hī jalva har sū
phir to be-kār nigāhoñ se hai parda karnā
aabrū khoī sar-e-bazm girā kar aañsū
chashm-e-ḳhūñ-bār ko lāzim na thā rusvā karnā
siikh le ham se jabīñ-sā.ī-e-ka.aba zāhid
ham ko aatā hai dar-e-yār pe sajda karnā
thī kabhī dil meñ tamannāoñ kī duniyā lekin
ab to aatā hī nahīñ dil ko tamannā karnā
kheltā jin ke safīna se hai tūfāñ un ko
nāravā hai havas-e-sāhil-e-dariyā karnā
ik nazar dekh lo pahle mirī hālat aa kar
phir samajhne ko paḌī umr hai samjhā karnā
tum pa.e-mashq-e-sitam teġh uThāo to sahī
shauq se phir sar-e-'afqar' kā nazāra karnā
maut kya KHatm-e-hayat-e-gham-e-duniya karna
hasil-e-zist hai marne ki tamanna karna
qissa-e-tur ka hai mujh ko iada karna
ek bar aur karam barq-e-tajalla karna
jab ki aata hai nazar tera hi jalwa har su
phir to be-kar nigahon se hai parda karna
aabru khoi sar-e-bazm gira kar aansu
chashm-e-KHun-bar ko lazim na tha ruswa karna
sikh le hum se jabin-sai-e-kaba zahid
hum ko aata hai dar-e-yar pe sajda karna
thi kabhi dil mein tamannaon ki duniya lekin
ab to aata hi nahin dil ko tamanna karna
khelta jin ke safina se hai tufan un ko
narawa hai hawas-e-sahil-e-dariya karna
ek nazar dekh lo pahle meri haalat aa kar
phir samajhne ko paDi umr hai samjha karna
tum pae-mashq-e-sitam tegh uThao to sahi
shauq se phir sar-e-'afqar' ka nazara karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.