maut ne fursat nikali hai abhi
maut ne fursat nikālī hai abhī
ġham se rāhat milne vaalī hai abhī
jo dilā.ī thī kitābeñ bech kar
us ke kānoñ meñ vo baalī hai abhī
aao yaaro tum bhī thoḌā zor do
ishq kī gardan dabā lī hai abhī
aa ke vo zaḳhmoñ se dil bhar jā.egā
laakh behtar hai ki kHālī hai abhī
daaġh banñe meñ abhī kuchh vaqt hai
maiñ ne jo ummīd paalī hai abhī
mil gayā ik shaḳhs mujh sā hū-ba-hū
jism kī ḳhalvat khañgālī hai abhī
kal vo phir koī bahāne aa.egī
chārasāzī se jo Taalī hai abhī
jal rahe haiñ sozish-e-manzar se paañv
go 'safar' saarā ḳhayālī hai abhī
maut ne fursat nikali hai abhi
gham se rahat milne wali hai abhi
jo dilai thi kitaben bech kar
us ke kanon mein wo baali hai abhi
aao yaro tum bhi thoDa zor do
ishq ki gardan daba li hai abhi
aa ke wo zaKHmon se dil bhar jaega
lakh behtar hai ki kHali hai abhi
dagh banne mein abhi kuchh waqt hai
main ne jo ummid pali hai abhi
mil gaya ek shaKHs mujh sa hu-ba-hu
jism ki KHalwat khangali hai abhi
kal wo phir koi bahane aaegi
chaarasazi se jo Tali hai abhi
jal rahe hain sozish-e-manzar se panw
go 'safar' sara KHayali hai abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.