maut ne likh diya kafan pe mere
maut ne likh diyā kafan pe mire
bojh sāñsoñ kā thā badan pe mire
zindagī ne masal diyā tujh ko
silvaTeñ paḌ ga.iiñ kafan pe mire
rang lagne lagā hai saḌkoñ par
kitne ehsān haiñ thakan pe mire
qaht kyā paḌ gayā sadāoñ kā
shor chaspāñ hai kyoñ dahan pe mire
kaun ubhrā mire tasavvur meñ
kis kī parchhā.īñ hai suḳhan pe mire
zindagī lafz lafz likhtā huuñ
harf aa.e na fikr-o-fan pe mire
baḌh gayā roz kī tarah 'sālim'
ik shigāf aur pairahan pe mire
maut ne likh diya kafan pe mere
bojh sanson ka tha badan pe mere
zindagi ne masal diya tujh ko
silwaTen paD gain kafan pe mere
rang lagne laga hai saDkon par
kitne ehsan hain thakan pe mere
qaht kya paD gaya sadaon ka
shor chaspan hai kyon dahan pe mere
kaun ubhra mere tasawwur mein
kis ki parchhain hai suKHan pe mere
zindagi lafz lafz likhta hun
harf aae na fikr-o-fan pe mere
baDh gaya roz ki tarah 'salim'
ek shigaf aur pairahan pe mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.