maut ne parda karte karte parda chhoD diya
maut ne parda karte karte parda chhoḌ diyā
mere andar aaj kisī ne jiinā chhoḌ diyā
ḳhauf ki rasta bhuul ga.ī ummīd kī ujlī dhuup
us laḌkī ne bālkanī par aanā chhoḌ diyā
roz shikāyat le kar terī yaad aa jaatī hai
jis kā dāman āhista āhista chhoḌ diyā
duniyā kī be-rāh-ravī ke afsāne likhe
aur apnī duniyā-dārī kā qissa chhoḌ diyā
bas titlī kā kachchā kachchā rañg āñkhoñ meñ hai
zinda rahne kī ḳhvāhish ne pīchhā chhoḌ diyā
maut ne parda karte karte parda chhoD diya
mere andar aaj kisi ne jina chhoD diya
KHauf ki rasta bhul gai ummid ki ujli dhup
us laDki ne baalkani par aana chhoD diya
roz shikayat le kar teri yaad aa jati hai
jis ka daman aahista aahista chhoD diya
duniya ki be-rah-rawi ke afsane likhe
aur apni duniya-dari ka qissa chhoD diya
bas titli ka kachcha kachcha rang aankhon mein hai
zinda rahne ki KHwahish ne pichha chhoD diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.