maut se aage soch ke aana phir ji lena
maut se aage soch ke aanā phir jī lenā
chhoTī chhoTī bātoñ meñ dilchaspī lenā
narm nazar se chhūnā manzar kī saḳhtī ko
tund havā se chehre kī shādābī lenā
jazboñ ke do ghūñT aqīdoñ ke do luqme
aage soch kā sahrā hai kuchh khā pī lenā
mahñge saste daam hazāroñ naam ye jīvan
soch samajh kar chiiz koī achchhī sī lenā
āvāzoñ ke shahr se baabā kyā milnā hai
apne apne hisse kī ḳhāmoshī lenā
dil par sau rāheñ kholīñ inkār ne jis ke
'sāz' ab us kā naam tashakkur se hī lenā
maut se aage soch ke aana phir ji lena
chhoTi chhoTi baaton mein dilchaspi lena
narm nazar se chhuna manzar ki saKHti ko
tund hawa se chehre ki shadabi lena
jazbon ke do ghunT aqidon ke do luqme
aage soch ka sahra hai kuchh kha pi lena
mahnge saste dam hazaron nam ye jiwan
soch samajh kar chiz koi achchhi si lena
aawazon ke shahr se baba kya milna hai
apne apne hisse ki KHamoshi lena
dil par sau rahen kholin inkar ne jis ke
'saz' ab us ka nam tashakkur se hi lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.