maut se dard-e-mohabbat ki dawa mangi hai
maut se dard-e-mohabbat kī davā māñgī hai
maiñ ne ḳhud apnī ḳhatāoñ kī sazā māñgī hai
toḌ mat bahr-e-ḳhudā aas Dil-e-pur-ġham kī
maiñ ne zālim tire milne kī duā māñgī hai
rahmateñ us kī tabāhī-e-vafā par jis ne
marte-marte tire dāman kī havā māñgī hai
maiñ ne kuchh aur nahīñ chāhā ḳhudā-e-ġham se
bas tire husn kī har ek balā māñgī hai
apne sar aap na leñ dil-shikanī kā ilzām
maiñ ne ḳhud apnī tabāhī kī duā māñgī hai
haa.e kyā chiiz hai 'sāhir' ye mirā husn-e-talab
maiñ ne har chiiz zamāne se judā māñgī hai
maut se dard-e-mohabbat ki dawa mangi hai
main ne KHud apni KHataon ki saza mangi hai
toD mat bahr-e-KHuda aas Dil-e-pur-gham ki
main ne zalim tere milne ki dua mangi hai
rahmaten us ki tabahi-e-wafa par jis ne
marte-marte tere daman ki hawa mangi hai
main ne kuchh aur nahin chaha KHuda-e-gham se
bas tere husn ki har ek bala mangi hai
apne sar aap na len dil-shikani ka ilzam
main ne KHud apni tabahi ki dua mangi hai
hae kya chiz hai 'sahir' ye mera husn-e-talab
main ne har chiz zamane se juda mangi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.