maut se khelna KHatron ki nazar mein rahna
maut se khelnā ḳhatroñ kī nazar meñ rahnā
merī majbūrī hai dushman ke asar meñ rahnā
jab se us gul kā bahāroñ se huā hai rishta
chāhtā hī nahīñ us din se shajar meñ rahnā
manzileñ chāñd sitāroñ kī agar paanā hai
tum isī tarah mire saath safar meñ rahnā
aish ke ye dar-o-dīvār mubārak hoñ tumheñ
aa gayā raas hameñ rāhguzar meñ rahnā
sar-phirī tez havāoñ ko gavāra kab hai
chand sūkhe hue pattoñ kā shajar meñ rahnā
shukr hai apnā ilāqa nahīñ aayā zad meñ
aag jab tak na bujhe shahr kī ghar meñ rahnā
hādsoñ kā vo asar zehn pe chhāyā hai 'nasīm'
ki jahāñ rahnā vahīñ ḳhauf-o-ḳhatar meñ rahnā
maut se khelna KHatron ki nazar mein rahna
meri majburi hai dushman ke asar mein rahna
jab se us gul ka bahaaron se hua hai rishta
chahta hi nahin us din se shajar mein rahna
manzilen chand sitaron ki agar pana hai
tum isi tarah mere sath safar mein rahna
aish ke ye dar-o-diwar mubarak hon tumhein
aa gaya ras hamein rahguzar mein rahna
sar-phiri tez hawaon ko gawara kab hai
chand sukhe hue patton ka shajar mein rahna
shukr hai apna ilaqa nahin aaya zad mein
aag jab tak na bujhe shahr ki ghar mein rahna
hadson ka wo asar zehn pe chhaya hai 'nasim'
ki jahan rahna wahin KHauf-o-KHatar mein rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.