maut se wo na zindagi se mile
maut se vo na zindagī se mile
roz-o-shab kī jo be-ḳhudī se mile
ham ne jaanā fareb khāne par
kyā sile ham ko zindagī se mile
be-dilī se mile hameñ ahbāb
ham raqīboñ se bhī ḳhushī se mile
un ke qadmoñ pe jhuk ga.ī duniyā
jo mohabbat se ājizī se mile
laash par aaj aa.e rone ko
umr bhar saare be-ruḳhī se mile
dil meñ hasrat hai maut kī ai 'zahīr'
yuuñ to milne ko ham sabhī se mile
maut se wo na zindagi se mile
roz-o-shab ki jo be-KHudi se mile
hum ne jaana fareb khane par
kya sile hum ko zindagi se mile
be-dili se mile hamein ahbab
hum raqibon se bhi KHushi se mile
un ke qadmon pe jhuk gai duniya
jo mohabbat se aajizi se mile
lash par aaj aae rone ko
umr bhar sare be-ruKHi se mile
dil mein hasrat hai maut ki ai 'zahir'
yun to milne ko hum sabhi se mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.