maut se yari na thi hasti se be-zari na thi
maut se yaarī na thī hastī se be-zārī na thī
us safar par chal diye ham jis kī tayyārī na thī
ham usī kī ḳhaak se uTThe haiñ kundan ban ke aaj
dosto jis shahr meñ rasm-e-vafādārī na thī
ham ne ḳhūn-e-ārzū de kar munaqqash kar diyā
varna dīvār-e-talab par aisī gul-kārī na thī
mar ga.e sar phoḌ ke dīvār-e-zindāñ se asiir
zindagī kunj-e-qafas meñ maut se pyārī na thī
ab shikast-e-ārzū hai bā.is-e-taskīn-e-dil
is se pahle to kabhī ye kaifiyat taarī na thī
jal rahā hai har nafas ab apne ġham kī aañch se
saañs lene meñ kabhī 'mohsin' ye dushvārī na thī
maut se yari na thi hasti se be-zari na thi
us safar par chal diye hum jis ki tayyari na thi
hum usi ki KHak se uTThe hain kundan ban ke aaj
dosto jis shahr mein rasm-e-wafadari na thi
hum ne KHun-e-arzu de kar munaqqash kar diya
warna diwar-e-talab par aisi gul-kari na thi
mar gae sar phoD ke diwar-e-zindan se asir
zindagi kunj-e-qafas mein maut se pyari na thi
ab shikast-e-arzu hai bais-e-taskin-e-dil
is se pahle to kabhi ye kaifiyat tari na thi
jal raha hai har nafas ab apne gham ki aanch se
sans lene mein kabhi 'mohsin' ye dushwari na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.