maut se zist KHauf khati hai
maut se ziist ḳhauf khātī hai
maut aate hī bhaag jaatī hai
zindagī umr bhar Darātī hai
maut har ḳhauf ko bhagātī hai
zindagī har qadam satātī hai
maut āġhosh meñ sulātī hai
ziist rāh-e-ġhalat batātī hai
maut rāh-e-sahī dikhātī hai
zindagī dard-e-dil baḌhātī hai
maut har dard ko miTātī hai
zindagī Thokareñ lagātī hai
maut aakar unheñ bhulātī hai
zindagī baḳhshtī hai jo aañsū
maut aakar unheñ sukhātī hai
kyā ajab hai ki ziist insāñ ko
haath aa.e na phir bhī bhātī hai
ziist jin ko aziiz hai 'aḳhtar'
maut kab un ko yaad aatī hai
maut se zist KHauf khati hai
maut aate hi bhag jati hai
zindagi umr bhar Daraati hai
maut har KHauf ko bhagati hai
zindagi har qadam satati hai
maut aaghosh mein sulati hai
zist rah-e-ghalat batati hai
maut rah-e-sahi dikhati hai
zindagi dard-e-dil baDhati hai
maut har dard ko miTati hai
zindagi Thokaren lagati hai
maut aakar unhen bhulati hai
zindagi baKHshti hai jo aansu
maut aakar unhen sukhati hai
kya ajab hai ki zist insan ko
hath aae na phir bhi bhati hai
zist jin ko aziz hai 'aKHtar'
maut kab un ko yaad aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.