maut thi zindagi thi yaad nahin
maut thī zindagī thī yaad nahīñ
kaun mujh se milī thī yaad nahīñ
ham ne raushan to kī thī sham-e-vafā
vo jalī thī bujhī thī yaad nahīñ
ḳhaak to ho gayā thā parvāna
sham.a kyoñ ro paḌī thī yaad nahīñ
ashk shabnam pe muskurāte haiñ
aap the yā kalī thī yaad nahīñ
koī mil ke gale to rotā thā
aap the yā ḳhushī thī yaad nahīñ
bazm-e-ishrat meñ ġham-zada dil thā
jaane kis kī kamī thī yaad nahīñ
ḳhum ke ḳhum pī gayā thā nazroñ se
phir bhī kyoñ tishnagī thī yaad nahīñ
lab pe āh-o-fuġhāñ hai 'rūmānī'
dil-lagī thī lagī thī yaad nahīñ
maut thi zindagi thi yaad nahin
kaun mujh se mili thi yaad nahin
hum ne raushan to ki thi sham-e-wafa
wo jali thi bujhi thi yaad nahin
KHak to ho gaya tha parwana
shama kyon ro paDi thi yaad nahin
ashk shabnam pe muskuraate hain
aap the ya kali thi yaad nahin
koi mil ke gale to rota tha
aap the ya KHushi thi yaad nahin
bazm-e-ishrat mein gham-zada dil tha
jaane kis ki kami thi yaad nahin
KHum ke KHum pi gaya tha nazron se
phir bhi kyon tishnagi thi yaad nahin
lab pe aah-o-fughan hai 'rumani'
dil-lagi thi lagi thi yaad nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.