mawaqe ishq ke wo ab kahan hain
mavāqe ishq ke vo ab kahāñ haiñ
adā.eñ yaar kī dard-e-zabāñ haiñ
nahīñ bantī hai aapas meñ koī baat
hamāre darmiyāñ kuchh talḳhiyāñ haiñ
hameñ milne nahīñ ab koī aatā
muqaddar meñ yahī tanhā.iyāñ haiñ
haiñ ye bhī ek hissa zindagī kā
idhar dukh haiñ udhar shahnā.iyāñ haiñ
palaT kar jā nahīñ sakte vatan meñ
hamārī raah meñ barbādiyāñ haiñ
na jaao ḳhud hameñ paḌh lo sabaq lo
hamī maġhrib-zadoñ kī dāstāñ haiñ
na khulvāo mirā muñh anjuman meñ
mire dil meñ ka.ī bāteñ nihāñ haiñ
vafā baḌhtī hai jin rishtoñ se ai dost
vahī rishte hamāre darmiyāñ haiñ
nazar aatā nahīñ sachchā.ī kā lafz
ye kaise rahnumāoñ ke bayāñ haiñ
mawaqe ishq ke wo ab kahan hain
adaen yar ki dard-e-zaban hain
nahin banti hai aapas mein koi baat
hamare darmiyan kuchh talKHiyan hain
hamein milne nahin ab koi aata
muqaddar mein yahi tanhaiyan hain
hain ye bhi ek hissa zindagi ka
idhar dukh hain udhar shahnaiyan hain
palaT kar ja nahin sakte watan mein
hamari rah mein barbaadiyan hain
na jao KHud hamein paDh lo sabaq lo
hami maghrib-zadon ki dastan hain
na khulwao mera munh anjuman mein
mere dil mein kai baaten nihan hain
wafa baDhti hai jin rishton se ai dost
wahi rishte hamare darmiyan hain
nazar aata nahin sachchai ka lafz
ye kaise rahnumaon ke bayan hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.