mayassar aa gai hai aagahi kya
mayassar aa ga.ī hai āgahī kyā
ruke haiñ log manzil aa ga.ī kyā
tumhāre saath hai saarā zamāna
hamārī dostī kyā dushmanī kyā
muravvat jab diloñ se kho chukī ho
qarābat kyā mohalla kyā galī kyā
tabī'at dard kī jab ham-safar ho
paḌāv kyā safar kyā ḳhush-dilī kyā
maiñ dil ko kitnī vus.at de sakūñgā
ḳhafā ho jā.eñge mujh se sabhī kyā
ye sab ehsās kī bāteñ haiñ yaaro
sitāre chāñd sūraj raushnī kyā
ye muddat baa'd kaisī hichkiyāñ haiñ
'sabā' kī yaad un ko aa ga.ī kyā
mayassar aa gai hai aagahi kya
ruke hain log manzil aa gai kya
tumhaare sath hai sara zamana
hamari dosti kya dushmani kya
murawwat jab dilon se kho chuki ho
qarabat kya mohalla kya gali kya
tabi'at dard ki jab ham-safar ho
paDaw kya safar kya KHush-dili kya
main dil ko kitni wusat de sakunga
KHafa ho jaenge mujh se sabhi kya
ye sab ehsas ki baaten hain yaro
sitare chand suraj raushni kya
ye muddat ba'd kaisi hichkiyan hain
'saba' ki yaad un ko aa gai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.