mayassar dida-e-bina nahin hai
mayassar dīda-e-bīnā nahīñ hai
vagarna aa.ine meñ kyā nahīñ hai
jise sochā use chāhā nahīñ hai
jise chāhā use sochā nahīñ hai
har ik shai qaid hai vahdat meñ apnī
hamārā aks bhī ham sā nahīñ hai
ikaa.ī baḳhsh detā hai badan ko
añdherā raushnī jaisā nahīñ hai
use idrāk-e-do-ālam na hogā
agar shā.ista-e-duniyā nahīñ hai
sarāboñ kā safar hai 'rāz' ab tak
tasalsul ḳhvāb kā TuuTā nahīñ hai
mayassar dida-e-bina nahin hai
wagarna aaine mein kya nahin hai
jise socha use chaha nahin hai
jise chaha use socha nahin hai
har ek shai qaid hai wahdat mein apni
hamara aks bhi hum sa nahin hai
ikai baKHsh deta hai badan ko
andhera raushni jaisa nahin hai
use idrak-e-do-alam na hoga
agar shaista-e-duniya nahin hai
sarabon ka safar hai 'raaz' ab tak
tasalsul KHwab ka TuTa nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.