wo kab aaen KHuda jaane sitaro tum to so jao
vo kab aa.eñ ḳhudā jaane sitāro tum to so jaao
hue haiñ ham to dīvāne sitāro tum to so jaao
kahāñ tak mujh se hamdardī kahāñ tak merī ġham-ḳhvārī
hazāroñ ġham haiñ anjāne sitāro tum to so jaao
guzar jā.egī ġham kī raat ummīdo to jaag uTTho
sambhal jā.eñge dīvāne sitāro tum to so jaao
hameñ rūdād-e-hastī raat bhar meñ ḳhatm karnī hai
na chheḌo aur afsāne sitāro tum to so jaao
hamāre dīda-e-be-ḳhvāb ko taskīn kyā doge
hameñ luuTā hai duniyā ne sitāro tum to so jaao
use 'qābil' kī chashm-e-nam se derīna ta.alluq hai
shab-e-ġham tum ko kyā jaane sitāro tum to so jaao
wo kab aaen KHuda jaane sitaro tum to so jao
hue hain hum to diwane sitaro tum to so jao
kahan tak mujh se hamdardi kahan tak meri gham-KHwari
hazaron gham hain anjaane sitaro tum to so jao
guzar jaegi gham ki raat ummido to jag uTTho
sambhal jaenge diwane sitaro tum to so jao
hamein rudad-e-hasti raat bhar mein KHatm karni hai
na chheDo aur afsane sitaro tum to so jao
hamare dida-e-be-KHwab ko taskin kya doge
hamein luTa hai duniya ne sitaro tum to so jao
use 'qabil' ki chashm-e-nam se derina talluq hai
shab-e-gham tum ko kya jaane sitaro tum to so jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.