maza alam mein nahin lutf soz-e-jaan mein nahin
maza alam mein nahin lutf soz-e-jaan mein nahin
S. Nooruddin Anwar Bhopali
MORE BYS. Nooruddin Anwar Bhopali
maza alam meñ nahīñ lutf soz-e-jāñ meñ nahīñ
sabab ye hai ki tapish parda-e-fuġhāñ meñ nahīñ
shubah agar tumheñ aadam kī dāstāñ meñ nahīñ
to phir gunāh koī sajda-e-butāñ meñ nahīñ
sab uTh chuke haiñ mohabbat meñ jis qadar the hijāb
maiñ ab vahāñ huuñ jahāñ koī darmiyāñ meñ nahīñ
ḳhizāñ ke rang meñ Duubī huī bahār haiñ ham
hamārā naam magar daftar-e-ḳhizāñ meñ nahīñ
chaman ko ham ne banāyā chaman magar ai dost
hamārī yaad bhī ab zehn-e-bāġhbāñ meñ nahīñ
hamīñ ne ḳhūn-e-tamannā se is meñ rang bharā
hamārā naam kahīñ saarī dāstāñ meñ nahīñ
tire karam kī ġhalat-baḳhshiyāñ are tauba
mire nasīb ke tinke bhī āshiyāñ meñ nahīñ
paḌe hue haiñ chaman meñ be-rang-e-begāna
vo mehmān haiñ jo zehn-e-mezbāñ meñ nahīñ
tire firāq meñ jo ashk-e-ḳhūñ bahātī thī
lahū kī buuñd bhī us chashm-e-ḳhūñ-fishāñ meñ nahīñ
guloñ ko bhī to hamīñ gul banāne vaale haiñ
magar hanūz ye ehsās bāġhbāñ meñ nahīñ
hanūz dil meñ taḌaptī hai ārzū-e-sujūd
magar kashish hī kisī sang-e-āstāñ meñ nahīñ
tire nisār mirā haal pūchhne vaale
tire karam se koī farq dard-e-jāñ meñ nahīñ
kuchh un ke sāmne yuuñ hoñT sil ga.e 'anvar'
ki tāb-e-nutq hī goyā mirī zabāñ meñ nahīñ
maza alam mein nahin lutf soz-e-jaan mein nahin
sabab ye hai ki tapish parda-e-fughan mein nahin
shubah agar tumhein aadam ki dastan mein nahin
to phir gunah koi sajda-e-butan mein nahin
sab uTh chuke hain mohabbat mein jis qadar the hijab
main ab wahan hun jahan koi darmiyan mein nahin
KHizan ke rang mein Dubi hui bahaar hain hum
hamara nam magar daftar-e-KHizan mein nahin
chaman ko hum ne banaya chaman magar ai dost
hamari yaad bhi ab zehn-e-baghban mein nahin
hamin ne KHun-e-tamanna se is mein rang bhara
hamara nam kahin sari dastan mein nahin
tere karam ki ghalat-baKHshiyan are tauba
mere nasib ke tinke bhi aashiyan mein nahin
paDe hue hain chaman mein be-rang-e-begana
wo mehman hain jo zehn-e-mezban mein nahin
tere firaq mein jo ashk-e-KHun bahati thi
lahu ki bund bhi us chashm-e-KHun-fishan mein nahin
gulon ko bhi to hamin gul banane wale hain
magar hanuz ye ehsas baghban mein nahin
hanuz dil mein taDapti hai aarzu-e-sujud
magar kashish hi kisi sang-e-astan mein nahin
tere nisar mera haal puchhne wale
tere karam se koi farq dard-e-jaan mein nahin
kuchh un ke samne yun honT sil gae 'anwar'
ki tab-e-nutq hi goya meri zaban mein nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.