maza gunah ka jab tha ki ba-wazu karte
maza gunāh kā jab thā ki bā-vazū karte
butoñ ko sajda bhī karte to qibla-rū karte
kabhī na parvarish-e-naḳhl-e-ārzū karte
numū se pahle jo andesha-e-numū karte
suneñ na dil se to phir kyā paḌī thī ḳhāroñ ko
ki gul ko mahram-e-anjām-e-rañg-o-bū karte
gunāh thā bhī to kaisā gunāh-be-lazzat
qafas meñ baiTh ke kyā yād-e-rañg-o-bū karte
bahāna chāhtī thī maut bas na thā apnā
ki mezbānī-e-mehmān-e-hīla-e-jū karte
dalīl-e-rāh dil-e-shab charāġh thā tanhā
buland-o-past meñ guzrī hai justujū karte
azal se jo kashish-e-markazī ke the pāband
havā kī tarah vo kyā sair chār-sū karte
falak ne bhūl-bhulayyoñ meñ Daal rakkhā thā
ham un ko DhūñDte yā apnī justujū karte
asīr-e-hāl na murdoñ meñ haiñ na zindoñ meñ
zabān kaTtī hai aapas meñ guftugū karte
panāh miltī na ummīd-e-be-vafā ko kahīñ
havas-nasīb agar tark-e-ārzū karte
maza gunah ka jab tha ki ba-wazu karte
buton ko sajda bhi karte to qibla-ru karte
kabhi na parwarish-e-naKHl-e-arzu karte
numu se pahle jo andesha-e-numu karte
sunen na dil se to phir kya paDi thi KHaron ko
ki gul ko mahram-e-anjam-e-rang-o-bu karte
gunah tha bhi to kaisa gunah-be-lazzat
qafas mein baiTh ke kya yaad-e-rang-o-bu karte
bahana chahti thi maut bas na tha apna
ki mezbani-e-mehman-e-hila-e-ju karte
dalil-e-rah dil-e-shab charagh tha tanha
buland-o-past mein guzri hai justuju karte
azal se jo kashish-e-markazi ke the paband
hawa ki tarah wo kya sair chaar-su karte
falak ne bhul-bhulayyon mein Dal rakkha tha
hum un ko DhunDte ya apni justuju karte
asir-e-haal na murdon mein hain na zindon mein
zaban kaTti hai aapas mein guftugu karte
panah milti na ummid-e-be-wafa ko kahin
hawas-nasib agar tark-e-arzu karte
- Book : Kulliyat-e-Yagana (Pg. 301)
- Author : Meerza Yagana Changezi Lukhnawi
- Publication : Farib Book Depot (P) Ltd. (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.