maza aata kisi surat agar tark-e-wafa hota
maza aata kisi surat agar tark-e-wafa hota
Abbas Ali Khan Bekhud
MORE BYAbbas Ali Khan Bekhud
mazā aatā kisī sūrat agar tark-e-vafā hotā
tumhārī tarah maiñ bhī be-vafā hotā to kyā hotā
musībat ho ga.ī āḳhir tamannā kī giraftārī
agar be-mudda.ā hotā to banda bhī ḳhudā hotā
ye shān-e-be-niyāzī hai ḳhudā ma.alūm hotā hai
ḳhudā ma.alūm kyā hotā agar vo but ḳhudā hotā
na rahtā yuuñ pareshāñ raat din maiñ fikr-e-darmāñ meñ
jo mujh ko dard denā thā to be-darmāñ diyā hotā
hamārī nā-umīdī kā to hai ilzām qismat par
tumhārā mudda.ā hotā to manzūr-e-ḳhudā hotā hotā
kisī ke paas dil hotā to sharh-e-dard-e-dil karte
ye hasrat rah ga.ī ham ko koī dard-āshnā hotā
azal se soḳhta-sāmāñ huuñ fikr-e-āshiyāñ kyā ho
na girtī barq to ye soz-e-dil se jal gayā hotā
na mujh se iltijā hotī na ḳhud vo mehrbāñ hote
guzar hotā bhī un kī bazm meñ apnā to kyā hotā
dam-e-āḳhir marīz-e-ġham ḳhudā ma.alūm kyā kahtā
na hote mehrbāñ sun kar magar sun to liyā hotā
hamārī be-kasī bhī ik na ik din kaam aa jaatī
agar 'beḳhud' koī ham be-kasoñ kā bhī ḳhudā hotā
maza aata kisi surat agar tark-e-wafa hota
tumhaari tarah main bhi be-wafa hota to kya hota
musibat ho gai aaKHir tamanna ki giraftari
agar be-muddaa hota to banda bhi KHuda hota
ye shan-e-be-niyazi hai KHuda malum hota hai
KHuda malum kya hota agar wo but KHuda hota
na rahta yun pareshan raat din main fikr-e-darman mein
jo mujh ko dard dena tha to be-darman diya hota
hamari na-umidi ka to hai ilzam qismat par
tumhaara muddaa hota to manzur-e-KHuda hota hota
kisi ke pas dil hota to sharh-e-dard-e-dil karte
ye hasrat rah gai hum ko koi dard-ashna hota
azal se soKHta-saman hun fikr-e-ashiyan kya ho
na girti barq to ye soz-e-dil se jal gaya hota
na mujh se iltija hoti na KHud wo mehrban hote
guzar hota bhi un ki bazm mein apna to kya hota
dam-e-aKHir mariz-e-gham KHuda malum kya kahta
na hote mehrban sun kar magar sun to liya hota
hamari be-kasi bhi ek na ek din kaam aa jati
agar 'beKHud' koi hum be-kason ka bhi KHuda hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.