mazahib mein husn-e-shariat nahin hai
mazāhib meñ husn-e-sharī.at nahīñ hai
kisī ke bhī dil meñ muravvat nahīñ hai
tire naaz ḳhāmosh rah kar uThā leñ
vo pahlī sī apnī bhī hālat nahīñ hai
lagāyā gale maut ko dar na chhoḌā
ḳhatā ye nahīñ hai ye ġhaflat nahīñ hai
bhalā kaise toḌūñ maiñ rishta butoñ se
milegā ḳhudā aisī qismat nahīñ hai
sitamgar hai vo aur vo bevafā hai
ye kah duuñ use mujh meñ jur.at nahīñ hai
vahī chhoḌ jaane kā haiñ naam lete
ki jin ke liye dahr jannat nahīñ hai
ho dil meñ tire zo.am paidā ki jis se
abhī maiñ ne maanī vo minnat nahīñ hai
nahīñ us kī aadat yaqīñ laa.e mujh par
qasam khānā merī bhī fitrat nahīñ hai
'rafīq' uTh ga.ī hai jahāñ se mohabbat
kisī ke bhī dil meñ mohabbat nahīñ hai
mazahib mein husn-e-shariat nahin hai
kisi ke bhi dil mein murawwat nahin hai
tere naz KHamosh rah kar uTha len
wo pahli si apni bhi haalat nahin hai
lagaya gale maut ko dar na chhoDa
KHata ye nahin hai ye ghaflat nahin hai
bhala kaise toDun main rishta buton se
milega KHuda aisi qismat nahin hai
sitamgar hai wo aur wo bewafa hai
ye kah dun use mujh mein jurat nahin hai
wahi chhoD jaane ka hain nam lete
ki jin ke liye dahr jannat nahin hai
ho dil mein tere zoam paida ki jis se
abhi main ne mani wo minnat nahin hai
nahin us ki aadat yaqin lae mujh par
qasam khana meri bhi fitrat nahin hai
'rafiq' uTh gai hai jahan se mohabbat
kisi ke bhi dil mein mohabbat nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.