mazaq-e-zindagi paband-e-naKHwat jab nazar aaya
mazāq-e-zindagī pāband-e-naḳhvat jab nazar aayā
sarishtan bil-muqābil maslak-e-vahshat nazar aayā
fareb-e-be-ḳhudī kī rahnumā.ī ke bharose par
numā.ish-gāh ke har pech-o-ḳham se bhī guzar aayā
zamāne ko bahut jāñchā mire zauq-e-tajassus ne
magar har dil ḳhulūs-o-lutf se ḳhālī nazar aayā
vafā-dushman zamāna muskurātā hī rahā mujh par
magar maiñ dil kī baazī hosh kho kar jiit kar aayā
unheñ jaa.ez shikāyat hai mire andāz-e-vahshat se
maiñ jab aayā jahāñ aayā junūñ ke dosh par aayā
jhakole de rahī haiñ kasrat-e-ehsās kī maujeñ
madad ai nā-ḳhudā-e-dil ki tūfāñ zor par aayā
basā-auqāt āñkhoñ ne bahā.e be-bahā motī
mizāj-e-dost 'bāsit' jab mujhe barham nazar aayā
mazaq-e-zindagi paband-e-naKHwat jab nazar aaya
sarishtan bil-muqabil maslak-e-wahshat nazar aaya
fareb-e-be-KHudi ki rahnumai ke bharose par
numaish-gah ke har pech-o-KHam se bhi guzar aaya
zamane ko bahut jaancha mere zauq-e-tajassus ne
magar har dil KHulus-o-lutf se KHali nazar aaya
wafa-dushman zamana muskuraata hi raha mujh par
magar main dil ki bazi hosh kho kar jit kar aaya
unhen jaez shikayat hai mere andaz-e-wahshat se
main jab aaya jahan aaya junun ke dosh par aaya
jhakole de rahi hain kasrat-e-ehsas ki maujen
madad ai na-KHuda-e-dil ki tufan zor par aaya
basa-auqat aankhon ne bahae be-baha moti
mizaj-e-dost 'basit' jab mujhe barham nazar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.