mazaq mat uDaiye libas ka
mazāq mat uḌā.iye libās kā
kabhī hamārā khet thā kapās kā
guzar nahīñ sakā hai saat saal se
vo rāstā sarā.e-hauz-ḳhās kā
kahāñ ye lā-shu'ūr ‘itr-vitr huuñh
muqābla kare haiñ terī baas kā
simaTne lag gayā huuñ apne aap meñ
dabāv baḌh rahā hai ās-pās kā
ba-vaqt-e-fajr paak saaf os se
vuzū karā diyā gayā hai ghaas kā
mazaq mat uDaiye libas ka
kabhi hamara khet tha kapas ka
guzar nahin saka hai sat sal se
wo rasta sarae-hauz-KHas ka
kahan ye la-shu'ur ‘itr-witr hunh
muqabla kare hain teri bas ka
simaTne lag gaya hun apne aap mein
dabaw baDh raha hai aas-pas ka
ba-waqt-e-fajr pak saf os se
wuzu kara diya gaya hai ghas ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.