mazdur ke kisan ke haalat pe likhen
mazdūr ke kisān ke hālāt pe likheñ
aao ġhazal ko apnī na.ī baat pe likheñ
ab dāstān-e-shīrīñ-o-farhād chhoḌ kar
ashfāq ke bhagat ke ḳhayālāt pe likheñ
apnī qalam ko rang-e-siyāsat se moḌ kar
kashmīr pe asaam pe gujrāt pe likheñ
insāniyat ke zikr kā kuchh bhī hai gar ḳhayāl
is mulk ke ġharīb ke jazbāt pe likheñ
insān hī to pyāsā hai insāñ ke ḳhuun kā
qātil ke Dar se sahmī huī raat pe likheñ
mazdur ke kisan ke haalat pe likhen
aao ghazal ko apni nai baat pe likhen
ab dastan-e-shirin-o-farhad chhoD kar
ashfaq ke bhagat ke KHayalat pe likhen
apni qalam ko rang-e-siyasat se moD kar
kashmir pe asam pe gujraat pe likhen
insaniyat ke zikr ka kuchh bhi hai gar KHayal
is mulk ke gharib ke jazbaat pe likhen
insan hi to pyasa hai insan ke KHun ka
qatil ke Dar se sahmi hui raat pe likhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.