mazhaka-KHez ye kirdar hua jata hai
maz.haka-ḳhez ye kirdār huā jaatā hai
vo jo 'āshiq thā adākār huā jaatā hai
guftugū kar ke pareshāñ huuñ ki lahje meñ tire
vo khulā-pan hai ki dīvār huā jaatā hai
khel hai us ke liye tark-e-ta'alluq kā ḳhayāl
aur koī soch ke bīmār huā jaatā hai
farq itnā to paḌā hai ki mulāqāt ke din
ab zarā der se tayyār huā jaatā hai
ek hī jaise haiñ ham sab ke masā.il shāyad
merā ġham sab kā sarokār huā jaatā hai
ham to lahroñ se faqat khelne aa.e the yahāñ
aur samundar hai ki bedār huā jaatā hai
niiñd par jitne kaḌe pahre lagātā huuñ maiñ
ḳhvāb kā rāsta hamvār huā jaatā hai
mazhaka-KHez ye kirdar hua jata hai
wo jo 'ashiq tha adakar hua jata hai
guftugu kar ke pareshan hun ki lahje mein tere
wo khula-pan hai ki diwar hua jata hai
khel hai us ke liye tark-e-ta'alluq ka KHayal
aur koi soch ke bimar hua jata hai
farq itna to paDa hai ki mulaqat ke din
ab zara der se tayyar hua jata hai
ek hi jaise hain hum sab ke masail shayad
mera gham sab ka sarokar hua jata hai
hum to lahron se faqat khelne aae the yahan
aur samundar hai ki bedar hua jata hai
nind par jitne kaDe pahre lagata hun main
KHwab ka rasta hamwar hua jata hai
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 78)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.